Sapane
======
Jaane kitane sapane hain,
kuchh anjaane, aadhe adhure, jane kab honge pure...
par ziddi dil kahata hai pure karne hain.
Kuch thokar hi to lagani hai,
kuchh gir kar hi to uthana hai,
Saare sapane pure hon bas yahi to mera sapana hai.
Thoda sa sangharsh karun to, chhoti c manjil mil jaati,
chhoti chhoti manjil milkar, mujhko sapane or dikhati,
har sapana ek sidhi hai, ek ek kar chadhana hai,
koi kitana b roke par mujhe to aage badhana hai.
Ruk gaye the mere hanth yahin,
likhate likhate is kavita ko,
mano bahane se rok diya ho, kal kal kal karti sarita ko.
ye raah nahi mere sapano ki jin par abhi mai chal rahi,
jaise jaise mai badi hui rahen jaane kab badal gayin.
In badali hui rahon par, ab nahi or mujhe chalana hai,
sapano ki rahen door sahi, par in raahon ko badalana hai,
janati hu,
Wapasi kathin hogi,
par saral kaam kise karna hai,
mujhe to mushkilon se ladana hai,
pyare pyare sapane mere unhe to purra karana hai.
saral c apani bhasha me,
saral se mere shabd guthe,
jinke sapanon ki jaan gayi h, unhe ye shabd samajhana hai.
toote foote hi kyo na ho sab sapane bator lo,
ankho me leke chamak un sapano pe nazar fer lo,
Zinda karo un sapano ko jo mar gaye hain,
log samajh rahe h hum dar gaye hain.
logon ko kya pata,
darana hum jaante nahi,
mout se pahale marane me hum mante nahi,
Ab thodi jaldi jaldi karana hai,
sapanon ki hai lambi line lagi har ek ko pura karana hai.
thodi raftaar badhai to lo wahi seedhiya fir mil gayin....
bas ab chadhte jana hai bas ab chalate rahana hai....